🔁 Film Dekhne WaaLe Ki Ima'mat Kaisi??
💠Sawal-4) Agar Koyi Imam Ya Haafize Qur'aan Daadhi Tarshwata Ho Ya Namaaz Bhi Na Padhta Ho , Filme , Darame Dekhta Ho Ya Nange Sar Ghoomta Phirta Ho To Aise Imaam Ya Haafize Quraan Ki Iqtida Main Namaaze Farz Ya Taraweeh Ki Padhna Jaa'iz He Ya Na-Jaa'iz?
Jawaab:▶ Daadhi Baqadar Ek Musht Rakhna Sunnate Rasool'Allah ﷺ He.
Usse Kam Kerna Ya Mundwana Haraam He.
" Durre Mukhtar" Main Hain He :
والسنتہ فیھا القبضتہ
Isi Main He
بحرام علی الرجل قطع لحیتہ
Namaaz Na Padhne Wala , Filme DaraaMe Dekhna Nange Sar Phirna Sab KhiLaafe Sharaa Aur Ba'z Fisq -o- Haraam He
Aur Imaam Fasiq Mo'Lin He Uske Peeche Namaaz Makruh Tehreemi Wajib-ul-Ada He Use Imam Banana Gunah He.
" غنیتتہ المستملی "
Main He......
لو قدمو افاسقاً یا ثمون بناء علی ان کراھتہ تقدیمہ کراھتہ تحریم .
"در مختار "
Main He.......
کل صلاتہ ادیت مع کراھتہ التحریم تجب اعادتھا.
"تبین الحقائق"
Main He.....
وفی تقدیمہ للامامتہ تعظیمہ و قد و جب علیھم اھانتہ شرعاً.
WAllahu Ta'aala Aalam
(📓 Fatawa Bareilly Shareef, Pg-69)