Aqaa'id Ki Paheliyaa(n)

🔘Aqaa'id Ki Paheliyaa(n)🔘

💠Sawaal-1) Ek Shakhs Kalma Na  Padhne Ke Bawajood Musalman Hogaya Iski Kya Surath He?
Jawab▶  Jo Shakhs Ye Kahe Ke Main ne Falaa'n Mazhab  Ko Cchod Ker Deene Islaam Qubool Ker Liya To Wo Musalman Hogaya Agarche Usne Kalma Taiyaba Nahi Padha.
Jaisa Ke       📓Fatawa Africa Lahuri, Safa-154 Main He
" Itna Kehna Ke Main Ne Wo  Mazhab Cchod Ker Deene Mohammadi Qubool Ker Liya Islaam Ke Liye Kaafi He "
Aur Rudul Muhtaar , Jild-3, Safa-286 Main He.

 لو قال انا مسلم فھو مسلم و کذا لو قال  علٰی و بن محمدا و علٰی الحنیفیتہ او علٰی دین الاسلام.


💠Sawaal -2)  Wo Konsi Surath He Ke Ek Shakhs Dil Se Mazhabe Islaam Ko Sahi Maanta He  Aur Zuban Se Iqraar Bhi Kerta He Magar Iske Bawajood Kafir He?
Jawaab▶  Iski Surath Ye He Ke Wo Dil Se Sahi Maanne  Aur Zubaan Se Iqraar Kerne Ke Sath Mazhabe Islaam Ko Apna Deen Nahi  Qaraar Deta Us Sabab Se Wo Kafir He.
Isliye Ke Kufr Ki 4 Qisme Hain.

1》 Kufr Inkaari :- Ke Na Dil Se Sahi Maane Aur Na Zubaan Se Iqraar Kare Jaise Ke Fir'on Wagera Ka Kufr.

2》Kufr Juhudi:- Ke Dil Se Sahi  Maane  Magar Zuban Se Aetaraaf Na Kare Jaise Ke Yahudi Wagera Ka Kufr.

3》 Kufr Nifaaqi:- Ke Dil Se Sahi Na Maane Magar Zuban Se Iqraar Kare Jaise Ke Abi Bin Khalf Wagera Ka Kufr.

4》  Kufre Enaadi:- Ke Dil Se Sahi Maane Aur Zubaan Se Aetaraaf Bhi Kare Magar Mazhabe Islaam Ko Apna Deen Na Qaraar De Jaise Abu Taalib Ka Hukm Wagera Ka Kufr.

📓Tafseer Khaazin ,Jild-1, Safa-31
Ruku Awwal Ki Aayate Karima

 اِنَّ الَّذِینَ  کَفَرُوا
Ke Tehet He .

    الکفر علٰی اربعۃ اضرب کفر انکار وھوان لا یعرف اللہ اصلا ککفر فرعون وھو قو لہ   مَاعَلِمتُ لَکُم مِن اِلٰہٍ غَیرِی  و کفر جحود وھوان یعرف اللہ بقلبہ ولا یقر بلسانہ ککفرابلیس (وکفرالیھود)  وکفر عنادو ھوان یعرف اللہ بقلبہ و یقربلسانہ ولا یذ کر بہ ککفر امیۃ بن ابی الصلت و ابی طالب حیث  یقول فی شعرلہ.

ولقد علمت بان دین محمد
من خیرا دیان البریہ دینا
 لو لا الملامۃ او الحذار مُسَبَّہ
لو جدتّنی سمحا بذاک مبینا

وکفر نفاق   وھوان یقربلسانہ ولا یعتقد صحۃ ذٰلک بقلبہ فجمیع ھذہ الا نواع کفر.

💠Sawaal-3)  Zameen Ka Wo Konsa Hissa He Jo Har Jaga Se Afzal He?
Jawaab▶ Zameen Ka Wo Hissa Jo Sarkar Aqdas ﷺ  Ke  Aaza-E- Mubaraka  Se  Laga  Huwa  He  Wo  Har  Jaga  Se   Afzal  He  Yaha  Tak  Ke  Ka'aaba Shareef  Aur  Arsh  wa Kursi  Se  Bhi  Afzal  He
Jaisa  Ke Aalahazrat Imam  Ahmed  Raza  Bareillvi  رضي الله تعالا عنه
Tehreer  Farmate  Hain " Turbate  Athar Yaani  Wo  Zameen Ke Jisme  Anwar Se  Mutta'sil  He  Ka'aaba  Shareef  Balke  Arsh Se Afzal  He.

(Fatawa Radwiah , Jild-4 , Safa-687) Aur (Durre Mukhtar Ma'aa Shaami  , Jild-2, Safa-257) Main  He.

ماضم اعضاءہ علیہ الصلاہ والسلام فانہ افضل مطلقا حتی من الکعبہ والعرش والکرسی.


💠Sawaal-4) Kab  Sunnat  Ko Cchod  Dena Kufr He?
Jawaab▶ Jabke  Sunnat Ko  Haq  Na  Samjhe To Is  Surath  Main Sunnat  Ko  Cchod  Dena  Kufr He.

Jaisa  Ke ( Fatawa AalamGiri , Jild-1 , Safa-105) Main He...

رجل ترک سنن الصلاہ ان لم یر السنہ جقا فقد کفر لانہ تر کھا استخفافا.

Aur ( Gunyah Safa-372 ) Main He...

لو ترک السنہ الفجرا والتی قبل الظھرا والتی بعد ھا ونحوھا من المؤکدہ قیل لا تلحقہ الاساءہ لان محمد اسماہ تطوعًا الا. ان یستخفہ فیقول ھذا فعل النبی ﷺ  وانا لا افعلہ فحینذ یکفر

🔀Faida:- Jabke Sunnat Ka Istikhfaaf Kufr He  To Jiski Sunnat He Yaani Huzoor ﷺ  Ka Istikhfaaf  Badarja-e- Aulaa   Kufr He.



💠Sawaal-5) Kis Surath Main Nange Sar Namaaz Padhna Kufr He?
Jawaab▶ Jabke Namaaz Ki Tehqeer Maqsood Ho Maslan Namaaz Aisi Koyi Mohtamam Bil"shaan Cheez Nahi Ke Jiske Liye Topi Pehni Jaaye To Is Niyyat Se Nange Sar Namaaz Padhna Kufr He.
(Durre Mukhtar wa Rudul Muhtaar ,J-1,S-431)
(Bahare Shari'at ,J-3,S-167)



💠Sawaal-6)  Wo Konsi Cheez He Ke Khuda-E- Ta'aala Ko Uska Khaaliq Kehna Jaa'iz Nahi?
Jawaab▶ Khuda-E- Ta'aala   Har Cheez Ka Paida Kerne Wala  He   Lekin Usko Khaaliq-ul-Khinzeer  Kehna Jaa'iz Nahi.
Sharah Aqaa'ide Nafsi Ke Sharah Nibraas, S-173 Main He.....

ان الله تعالٰی خالق کل شی ویلزمه  ان یکون خالق الخنازیر مع انه یجوز اطلاق الملزوم  لا اللازم.


💠Sawaal-7) Wo Konsi Bid'at He Jiska Kerna Zaruri He Agar Na Kare To Gunehgaar Honge?
Jawaab▶  Wo Bid'at Bid'ate Waajiba He Jiska Kerna Musalmaan Per Zaruri He  Agar Na Karege To Gunehgaar Hoge.

كماهو حكم الواجب.

📓Shaami , J-1, S-376 Main He...

قد تكون ( البدعة )  واجبه كنصب الادلة للرد علي اهل الفرق الضالة و تعلم النحو المفهم للكتاب والسنة.

Yaani Bid'at Kabhi Waajib Hoti He Jaise Ke Gumrah Firqe Walo Per Radd Ke Dala'il Qaayim Kerna Aur ILm Nuh Ka Seekhna Jo Quraan -o- Hadees Samajhne Main Mu'aawin Hota He.

Aur Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Bukhari رحمته الله تعالى عليه Tehreer Farmate Hai
"Ba'z Bid'athaast Ke Wajib Sat Chunancha TaaLeem wa Tarbiyat Sarf -o-Nuh Ke Badaa(n) Ma'rifat Aayaat -o-Ahaadees Hasil Girdad wa Hifz Garaaib Kitaab -o- Sunnat -o- Digar Cheez Haaye Ke Hifz Deen -o-  Millat Bar'Aa(n) Mouqof Bud___
Yaani Ba'z Bid'ate Wajib Hain Jaise Ke ILm Sarf -o- Nuh Ka Seekhna , Sikhana Ke Isse Aayaat -o- Ahadeese Karima Ke Mafaheem wa Mutalib Ki Ma'rifat Hasil Hoti He Aur Quraan -o- Hadees Ke Garaa'ib Ko Mahfooz Kerna Aur Dusri Cheeze Ke Deen -o- Millat Ki Hifazat Unpar Mouqof He.

(Ye Sabab Bid'ate Wajiba Hain .  📓Ash'atul Lam'aat, J-1, S-128)


💠Sawaal-8)Wo Kon Shakhs He Jo Kafir Asli Se Bhi Badtar He?
Jawaab▶  Wo Shakhs Jo Kafir Asli Se Bhi Badtar He Wo Murtad He
Jaisa Ke Hazrat Allama Ibne Nujeem Misri Rehmathullahi  Ta'aala Aleh Tehreer Farmate Hain.
المرتد أقبح كفراً من الکافر الاصلی

( 📓الاشتباه والنظائر ، ص__190)

💠Sawaal -9) Na Jankari Main Kalma Kufr Bak Jaaye To Kafir Hoga Ya Nahi?
Jawaab▶ Aam Mashayikh Ke Nazdeek Kafir Hojayega  Aur Na-Jankari Ka Uzr Qubool Nahi Kiya Jayega
Jaisa Ke  📓Ashbah WanNaza'ir, S-304 Main He
فى الخلاصة اذا نكلم  بكمة  الكفر جاهلا قال بعضهم لايكفر و عامتهم على ابه يكفر ولا يعذر.


(📚 Ajaa'ibul Fiqha , S- 59 to 62)